Laakh miltay hain hum bahanay say Ummar guzari hay dar-badar apniPyar chupta nahi chupanay say Hum hillay thay zara thikanay say Aik jadu sa kar gaye mujh par Kuch makaan thay puranay say Baat karta raha main us say magar Baat banti nahi bana’nay say Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho Tum nikalo humain fasanay say Meri chahat main bhi woh baat na thi Woh bhi rukhsat hua bahanay say Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay Teer palta agar nishanay say…!!! |
Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo, Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasilRaat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo, Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan, Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo Phir palkon par jugnu chamke,aankhon mein ghata si lehrai Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo, Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo.. |
Tu Ne Jo Chonk Kar Her Jagha Nigah Ki Hogi Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein AksserMere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene Yaser Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi Zikir Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin Yaser Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi |
Hazar rahen mud ke dekhien, Kahien se koi sada na ayie Jahan se tum mod mud gaye the, ye mod ab bhi yahie pade hainBadi wafa se nibhayie tum ne, Humari thodisi Bewafaie Hum apne pairon me jane kitne, Bhanwar lapete huwe khade hain Kahien kisi roz yun bhi hoga, humari halat tumhari hogi Jo rat humne guzari mar k, wo rat tumne guzari hoti Tumhe ye zid hai k hum bulate, hume ummis k wo pukaren Hai naam honton pe ab bhi lekin, Aawaz me pad gayie dararen |
KOI TO HOTA…. jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rotamai jis k dil ki kitaab benta mai jis ki chahet ka khawab benta mai hijr k mosem ki lembi raaton mein yaad ben ker azaab benta KOI TO HOTA….. dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota mai rooth jata manata mujh ko k chahe mera kasoor hota KOI TO HOTA…. mai jis k itna kareeb hota na paas koi rakeeb hota mai itna uus ka habeeb hota ye silsila bhi ajeeb hota KOI TO HOTA…….. |
Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga Aana ho to aa jao Ruswayee nahi hogiDekhoon ga nahi phir bhi Tasweer bana loon ga Dekhega nahi koi Palkon mai chupa loon ga Jo Hum per guzarni hai ek bar guzar jaye Her Gham ki tarha Tujh ko Seene se laga loon ga Weeran agar Dil ho Aankhon mai Andhera ho Yaadon ke Diye apni Palkon mai saja loon ga Manzoor agar hogi Ruswayi Teri Mujh ko Mai beth ke Sahil se Toofaan utha loon ga Naraz agar wo hain Mere Nasheman se Mai apne Nasheman ke Tinkon ko hata loon ga Kyun Mujh se Khafa ho ker wo Door gaye Baanhon mai wo aa jayaen mai un ko Mana loon ga |
Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey!Khud Jalaatey Hein Bana Kar Apna Parwaana Mujhey Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha Woh Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhey Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa- Gari Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhey Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad, Ehtiraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhey Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhey Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag Mein Jaltey Howye Hogay Rukhsat Dua’ayen De Ke Parwana Mujhey |
har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka, Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay, Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay, Khat layain na layain tera hum naama bron ko, Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay, Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay gulo ko, Itna bhi to qatil ko pashaiman nahin kartay, Kub shamain jalata hai shab-e-mah main koi, Tu ayai tou ham ghar main charaghan nahin kartay, Logon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka, Hum dil ki tarah chaak-e-garaiban nahin kertay, Hum tuj kay chalay aatay hain yaaro dar-e-janan, Ghalib ki tarah minnat-e-darban nahin kertay |
Har ek lamha naya ik imtehan hai, Dilon per barf girti ja rahi hai,bohut na-meharban yeh aasman hai, Badan ka tajziya bhi raiga hai, main us say baat karna chahti hon, batao to sahi woh ab kahan hai, Anaa ki rait shamil ho gayai hai, Hawa say guftugu ab raigan hai, Mujhey is ka yaqeen hargiz nahi tha, Meri janib say itna badguman hai… |
usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia, Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay, naya naam hai,kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia, Woh chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gia woh guzar gia, Koi ayai ga koi jayai ga, koi jayai ga koi ayai ga, Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia, Teray paas tera habai hay, jo nahin mila woh naseeb hay, Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gaia woh guzar gia, Mujhey pat jharon ki kahanian na suna suna kay udaas ker, Nayai mausamon ka pata bata, jo guzar gia wo guzar gia, Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay, Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia |
Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaanmagar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin wo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahin ham apane is mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahin hai shor-saa taraf taraf ki sarahadon kii jang mein zamii.n pe aadamii nahii.n falak pe kyaa Khudaa nahin |
AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain Dil Ki Mehfil Main Ujaalon K LiyeDard Seene Main Chupa Lete Hain Yaad Ki Shama Jala Lete Hain Jalte Mausum Main Bhe Ye Deewane Kuch Haseen Phool Khila Lete Hain Apni Aankhon Ko Bana Ker Ye Zubaan Kitne Afsane Suna Lete Hain Jin Ko Jeena Hai Mohabbat K Liye Apni Hasti Ko Mita Lete Hain AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain Dard Seene Main Chupa Lete Hain |
Ussay Keh Dou Kay Woh Mujh Ko Ronay Say Mat Rokay….. Ab Mehar Banion Ki Tumhari Tamana Nahi Humko…..Bikhray Huwoon Ko Toofan Sanbhala Nahi Kartay… Barastay Huway Baadil Kabhi Ujala Nahi Kartay….. Mat Qareeb Aao Meray Mujhe Bas Younhi Rehnay Dou… Tootay Huway Paimanay Mein Jaam Dala Nahi Kartay…… Mat Sunao Logoon Ko Meri Barbaadi Ka Qissa… Kissi Kay Dil Kay Zakhmoon Ko Younh Uchala Nahi Kartay |
Search Everything
Search Interesting and funny videos
Friday, September 3, 2010
Gazal SMS 4
Gazal SMS 3
Ye dard mit gaya to phir? Main titliyon k shehar mein,Ye zakhm sil gaya to phir…? Bichhar kar sochta hoon main, Wo phir se mil gaya to phir…? Rahoon to mujh ko fiker hai… Wo phool jo khila nahi, Wo phool khil gaya to phir…? Tujhe bhi kuch nahi mila, Mujhe bhi kuch nahi mila… Tamam umer k liye, Ye dard mil gaya to phir…? Main is liye to aaj tak, Sawal bhi na kar sake… Agar mere sawal ka, Jawab mil gaya to phir…? |
Kab kaun kisi ka hota hai Sub dil rakhney ki batein hainSub jhootey rishtey naate hain… Sub asal roop chhupate hain… Ikhlaq se khali log yahan Lafzon ke teer chalate hain… I baar nigahon mein aakar Phir saari umar rulate hain… Who jis NE diye hain ashk humein AB us ko bhool hi jaate hain… |
In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho is jheel kinaray pal do palik khawab ka neela phool khilay wo phol baha dain lehroon main ik rooz kabhi hum sham dhalay is phol k behtay rangoon main jis waqt larazta chand chalay us waqt kahin un aankhoon main is basray pal ki yaad to ho In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho phir chahay omer samander ki her maoj parayshan ho jaye phir chahay aankh darechay say her khawab gurayzaan ho jaye phir chahay phool k chehray ka her dard nomayan ho jaye is jheel kinaray pal do pal wo roop nagar eejad to ho din raat k is aaeynay say wo aks kabhi aazad to ho In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho |
Koi titli hamarey paas aati bhi, to kia aati, Yun ghut-ghut k mar jana, hamain manzoor tha laikin,Kisi kam-zarf per zahir na ki majbooriyan hum nay, Hum is mehmil main bus ek baar sach bolay thay, Zabaan per umer bhar mehsoos ki chingariyon ham nay, Samajhtay thay magar phir bhi na rakhi dooriyan humne, Chiraghoon ko jalanay main jala ‘ li ungliyan hum nay… |
Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye Javani Peh RoyeBadi Chot Khai Javani Peh Roye Na Socha Na Samajha, Na Dekha Na Bhala Teri Aarzoo Ne, Hume Mar Dala Tere Pyar Ki Meherbani Peh Roye Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye Badi Chot Khai Javani Peh Roye Javani Peh Roye Khabar Kya Thi Honto Ko Seena Padega Mohabbat Chupa Kar Bhi, Jeena Padega Jiye To Magar Zindagani Pe Roye Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye Badi Chot Khai Javani Peh Roye |
Tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein AksserMere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene MeMoN Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi Ziker Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin MeMoN Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi |
Azeem Hai Yeh Qurbat Ki Doooriyaan Kismat Main Nahin Phir Bhi Us Ko Chate HaiSath Reh Ker Bhi Usko Na Pana Kesa Lagta Hai Yun Samjh Ker Kanto Per Chalna Kesa Lagta Hai Ab To Mehfil Main Bhi Humare Liye Tanhaye Hai Ghum Chupa Ker Mehfil Ko Sajana Kesa Lagta Hai Samjhne Per Bhi Samjhata Nahin Hai Dil Uski Yaad Main Raato Ko Jaagna Kesa Lagta Hai Us Ki Berukhi Ne Itne Diye Hai Ghum Zakham Chupa Ker Bhi Muskarana Kesa Lagta Hai Isse Kho Ker Mere Pass Rha Kuch Bhi Nahin Phir Bhi Khudh Ko Ameer Batana Kesa Lagta Hai Khudh Ko Anmol Samjhne Ka Tha Bara Ghamand Phir Bhi Bemool Bik Jana Kesa Lagta Hai Kahayei Hai Dhoke Mohabaat Main Itne Ke Phir Bhi Us Ko Cahana Kesa Lagta Hai Maloom Hai Memon Teri Manzil Nahin Hai Koi Phir Bhi Safer Kerte Rhena Kesa Lagta Hai Anmol To Aah Ker Bhi Ja Chuke Hai Kab Ke Phir Bhi Us Ka Intizar Kerna Kesa Lagta Hai |
Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal, baat hoti gulon tak to sehlete hum,is chaman mein ab apna guzara nahin. ab to kaaton pe bhi haq hamara nahin. jab gulistan ko khoon ki zarorat padi sab se pehle hamari hee gardan katee, phir bhi kehte hain humse ye ahle chaman ye hamara chaman hai tumhara nahin. aaj aaye ho aur kal chale jaoge yeh muhabbat ko meri gawara nahin, umr bhar kaa sahara bano to bano chaar din kaa sahara sahara nahin |
Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra… Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela…Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra… Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra… Mujhe ye chandni raatein buhut bekaaif lagti hain… Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra… Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta… Mujhe madhosh karta hai tumhara chand sa chehra… Meri basti se shayad iss liyay tum door rehte ho… Gehan lagne se darta hai tumhara chand sa chehra… Tawaja kis qadar dene laga hun aaj kal khud per… Mere charoun taraf jab siyah raat aati hai… To phir mujh mein uterta hai tumhara chand sa chehra… Mere se yun hi TUM apni dosti rakhna… Andhere main nikharta hai tumhara chand sa chehra… |
Kaha tha tum say…mera intezaar na karna Aisa ho chuka hai kayee bar pehlay bhidunya chahey jo kahey tum aitebar na karna ab ki bar tum koi bhi sawal na karna Din raat kat rahey hein ab to ussi k khyal mein wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna Zindagi tanha hi sahi..kat rahi hai ab tak kis nay keh diya tha mohabbat ka izhaar na karna |
Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye ToBikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena |
pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen beruKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogiikaisaa baadal hai jisakaa ko_ii saayaa bhii naheen ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii naheen roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii naheen sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii naheen tum to shaayar ho ‘Qateel’ aur vo ik aam saa shaKhs us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii naheen |
Manoos Kar Chkuey Hein Ye Diwar-o-Dar Mujhey Umeed-e-Zindagi Nahee Aye Charah-Gar MujheyZindaan Ke Baad Raas Na Ayega Ghar Muhjey Shaam Hogayee Tou Phir Na Hogi Sehar Mujhey Mein Ek Mata’a-e-Eshq Houn, Khhoya Agar Mujhey Shayed Na Pa Sakoge Kaheen Umar Bhar Mujhey Kiya Jeetay Ji Umeed-e-Rahayee Se Wasta Dhoka Na Dein Qafas Mein Merey Baal-o-Par Mujhey Dou Jan-ba-Lab Mareez Hein, Ek Marg-e-Muntazir Mein Uss Ko Dekhhta Houn Charagh-e-Sehar Mujhey Tang Aake Chordta Houn Dunya Ko Aap He Duyna Ghareeb Chord Ke Jaati Kidhar Mujhey Aayena Ban Raha Houn Kisi Ke Jamal Ka Kuch Sochtey Hein Dekh Ke Ahl-e-Nazar Mujhey Ma’adoom Ho Chuka Ye Ehsaa-e-Zindagi Chahein Tou Zehar De Dein Merey Charah-Gar Mujhey Jeeney Ki Hey Salaah, Ke Marney Ki Eshq Mein Dil Se Ye Poochna Hey Kahein Baythh Kar Mujhey |
ab ki bar tum koi bhi sawal na karna
Din raat kat rahey hein ab to ussi k khyal mein
wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna
Zindagi tanha hi sahi..kat rahi hai ab tak
kis nay keh diya tha mohabbat ka izhaar na karna
Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena
Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh DenaHawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To
Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena
Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab
Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena
Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain
Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena
Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey
Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena
Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon
Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena
pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen
kaisaa baadal hai jisakaa ko_ii saayaa bhii naheenberuKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii naheen
roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii naheen
sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii naheen
tum to shaayar ho ‘Qateel’ aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii naheen
Manoos Kar Chkuey Hein Ye Diwar-o-Dar Mujhey
Zindaan Ke Baad Raas Na Ayega Ghar MuhjeyUmeed-e-Zindagi Nahee Aye Charah-Gar Mujhey
Shaam Hogayee Tou Phir Na Hogi Sehar Mujhey
Mein Ek Mata’a-e-Eshq Houn, Khhoya Agar Mujhey
Shayed Na Pa Sakoge Kaheen Umar Bhar Mujhey
Kiya Jeetay Ji Umeed-e-Rahayee Se Wasta
Dhoka Na Dein Qafas Mein Merey Baal-o-Par Mujhey
Dou Jan-ba-Lab Mareez Hein, Ek Marg-e-Muntazir
Mein Uss Ko Dekhhta Houn Charagh-e-Sehar Mujhey
Tang Aake Chordta Houn Dunya Ko Aap He
Duyna Ghareeb Chord Ke Jaati Kidhar Mujhey
Aayena Ban Raha Houn Kisi Ke Jamal Ka
Kuch Sochtey Hein Dekh Ke Ahl-e-Nazar Mujhey
Ma’adoom Ho Chuka Ye Ehsaa-e-Zindagi
Chahein Tou Zehar De Dein Merey Charah-Gar Mujhey
Jeeney Ki Hey Salaah, Ke Marney Ki Eshq Mein
Dil Se Ye Poochna Hey Kahein Baythh Kar Mujhey
1 2 3 4
Gazal SMS 2
yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaar hota … ager or jeete rehte tu yehi intazar hotakahoon kiss se main k kia hai … shab-e-ghum bori bala hai mujhe kia bora tha marna .. ager aek baar hota yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaa hota .. koei mere dil se poche tere teer neem kash ko yeh khalish kahan se hoti .. ju jiger k paar hota tere wade per jiye hum.. tu yeh jaan jhot jana .. k khoshi se mar na jate ager etbaar hota .. yeh na thi humri kissmat k wisaal-e- yaar hota yeh kahan ki dosti hai .. k bane hain dost saqi .. koi chehra saaz hota .. tu yeh na ghumm saath hota |
Submitted By: Moderator |
Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein Khuvabon aur Khyaalon MeinZaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga Mera hi Chehra Tarasha Ho ga Raah Chaltey jo us ko Mera khyaal Aaya Ho ga Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi Aur na Pa ke Mujhey Aap hi Aap Mujh sey Roth ti Ho gi Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera Tawelein Ghurr ke khud hi Behal ti Ho gi Tanha Sard Raat Mein Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey Khyaalon hi Khyaalon Mein Haath us ney Mera Thama Ho ga Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga |
jane kiun woh sansoo ki dor totne nahi deta bas qadam aur chalne kawasta dekar mujhe rokne nahi deta bat kehta hai woh mujh se hans hans kar je lene ki ajeeb shakhs hai mujh ko chain se rone nahi deta ajj hosla deta hai mujhe chand sitaron ko cho lene ka woh piar se chehra mujhe toot kar bikharne nahi deta shayad janta hai woh bhi in ankhon main ansuon ka sailab hai jane kiun phir bhi woh in ansoun ko girne nahi deta mujh se kehta hai main to mar jaon ga tumhare bina main zinda hon ab tak woh mujhe marne nahi deta |
Submitted By: Moderator |
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya Mehfilon main kahin bhi maza na raha Rakha dil pay pather to khud ko sajaya Baat bay baat apni aahain daba ker Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya Kya muqadar say shikwa kertey rahain Jo qismat main tha wohi kuch to paaya Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya Apnoon nay palat kay daykha tak nahin Ghairon nay aaker galay say lagaaya Acha hua kay raaz khul hi gaya Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya |
Submitted By: Moderator |
Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey bahoun mein apni sama lou mujhey Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey Meri sab say gehri khuwahish hou puri Tum agar pass apnay bula lou mujhey Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey |
Submitted By: Moderator |
kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch waqat jo badley to insaan badal jaatey hain kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui kis tarhan usney chudaya hai mujh se haath na pooch Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay Kis tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch |
Submitted By: Moderator |
aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina, Yaad karna bhi usey roo, bhula bhi daina, Kia kahon yeh meri chahat hai k nafrat is ki, Naam likhna bhi maira, likh k mita bhi daina, Phir na milnay ko bicharta hon tuj say laikin, Murr k daikhon to palatnay ki dua bhi karna, Khat bhi likhna usay, mayoos bhi rahna us say, Jurm karna bhi magar khud ko saza bhi daina, Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawara laikin, Jee main ayai to yeh diwar gira bhi daina, Soorat-e-naqsh-e-qadatm, dasht main rehna, Apnay honay say na honay ka pata bhi dain |
Submitted By: Moderator |
Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne, Khud bula ker phir sataya hai kisi ne, Jab tak jali hai shama jalta raha parwana, Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne Armaan mere raiza raiza hogaye hain, Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne, Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga, Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne, Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko, Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne, Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha Us ko bhi tarpaya hai kisi ne, |
Submitted By: Moderator |
Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne Apney askhon ko palkon pe sitara karkey Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka Aur kuch roz tere saath guzara karkey Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey |
Submitted By: Moderator |
Wafa ruswa nahi karna… Suno aisa nahi karna Mai pehle hi akela hu Muje tanha nhi karna, Judai aa b jaye to Ye dil chota nhi karna Bohat musroof ho jana Muje socha nhi karna, Barosa b zarori hai Magar sub ka nhi karna Muqadar to muqadar hai kabi shikwa nahi karna Meri takmeel tum se hai muje adha ni karna suno asa soocha nahi kerna. |
Submitted By: Moderator |
Saath chalne main jo maza hota Woh humain bhi kabhi mila hota Yeh hi hasrat rahi hamari faqat Saath apne koi chala hota Hum bhatakte rahe the raahon mein koi rasta pata chala hota Thaam leta humain bhi barh ke koi Haath hum ko koi mila hota Hum ulajhte nahi zamane se Ek jo Humsafar mera hota Hum na thakte safar mein gar Saath apne koi chala hota |
Submitted By: Moderator |
Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega Terey merey darmiyaan bas ek khalaa reh jaayega Aks beh jaayenge saarey dhoop ke sailaab mein Aur koye paaniyoun mein jhaankta reh jaayega Mujhko merey humsafar, aisa safar darpesh hai Raasta kat bhi gaya tou faasila reh jaayega Laug so jaayenge khaamushi ki chadar odh ker Chaand sooney aanganoun mein jaagta reh jaayega |
Submitted By: Moderator |
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai yeh aasmaan, yeh badaal, yeh raste, yeh hawaa har aik cheez hai apni jagha thikane pe kaii dino se shikayat nahi zamane se Yeh zindagi hai safar, tu safar ki manzil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai tere bagair jahaan main koi kami si thi bhatak rahi thi jawani andheri raahoon main sukoon dil ko mila aa k teri baahoon main main aik koi hui mouj hoon, tu sahil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai tere jamaal se roshan hai kainaat meri meri talash teri dilkashi rahe baki khuda kare k yeh deewangi rahe baki teri wafaa hi meri har khushi ka hasil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai |
Gazal SMS 1
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
Subscribe to:
Posts (Atom)