Search Everything

Search Interesting and funny videos

Friday, September 3, 2010

Gazal SMS 4

1   2      4

Laakh miltay hain hum bahanay say
Pyar chupta nahi chupanay say
Ummar guzari hay dar-badar apni
Hum hillay thay zara thikanay say

Aik jadu sa kar gaye mujh par
Kuch makaan thay puranay say

Baat karta raha main us say magar
Baat banti nahi bana’nay say

Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho
Tum nikalo humain fasanay say

Meri chahat main bhi woh baat na thi
Woh bhi rukhsat hua bahanay say

Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay
Teer palta agar nishanay say…!!!

Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo,
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasil
Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo

Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan,
Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo

Phir palkon par jugnu chamke,aankhon mein ghata si lehrai
Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo

Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo..

Tu Ne Jo Chonk Kar Her Jagha Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi
Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser
Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi

Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene
Yaser Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi

Zikir Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein
Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi

Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe
Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi

Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin Yaser
Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi

Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan
Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi

Hazar rahen mud ke dekhien, Kahien se koi sada na ayie
Badi wafa se nibhayie tum ne, Humari thodisi Bewafaie
Jahan se tum mod mud gaye the, ye mod ab bhi yahie pade hain
Hum apne pairon me jane kitne, Bhanwar lapete huwe khade hain

Kahien kisi roz yun bhi hoga, humari halat tumhari hogi
Jo rat humne guzari mar k, wo rat tumne guzari hoti

Tumhe ye zid hai k hum bulate, hume ummis k wo pukaren
Hai naam honton pe ab bhi lekin, Aawaz me pad gayie dararen

KOI TO HOTA….
mai jis k dil ki kitaab benta
mai jis ki chahet ka khawab benta
mai hijr k mosem ki lembi raaton mein
yaad ben ker azaab benta
KOI TO HOTA…..
jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota
dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota
mai rooth jata manata mujh ko
k chahe mera kasoor hota
KOI TO HOTA….

mai jis k itna kareeb hota
na paas koi rakeeb hota
mai itna uus ka habeeb hota
ye silsila bhi ajeeb hota
KOI TO HOTA……..

Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga
Dekhoon ga nahi phir bhi Tasweer bana loon ga
Aana ho to aa jao Ruswayee nahi hogi
Dekhega nahi koi Palkon mai chupa loon ga

Jo Hum per guzarni hai ek bar guzar jaye
Her Gham ki tarha Tujh ko Seene se laga loon ga

Weeran agar Dil ho Aankhon mai Andhera ho
Yaadon ke Diye apni Palkon mai saja loon ga

Manzoor agar hogi Ruswayi Teri Mujh ko
Mai beth ke Sahil se Toofaan utha loon ga

Naraz agar wo hain Mere Nasheman se
Mai apne Nasheman ke Tinkon ko hata loon ga

Kyun Mujh se Khafa ho ker wo Door gaye
Baanhon mai wo aa jayaen mai un ko Mana loon ga

Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey
Khud Jalaatey Hein Bana Kar Apna Parwaana Mujhey
Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey!
Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey

Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya
Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey

Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha Woh
Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhey

Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa- Gari
Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhey

Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad,
Ehtiraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhey

Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya
Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhey

Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag Mein Jaltey Howye
Hogay Rukhsat Dua’ayen De Ke Parwana Mujhey

har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,
har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay,
Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay,

Khat layain na layain tera hum naama bron ko,
Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay,

Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay gulo ko,
Itna bhi to qatil ko pashaiman nahin kartay,

Kub shamain jalata hai shab-e-mah main koi,
Tu ayai tou ham ghar main charaghan nahin kartay,

Logon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka,
Hum dil ki tarah chaak-e-garaiban nahin kertay,

Hum tuj kay chalay aatay hain yaaro dar-e-janan,
Ghalib ki tarah minnat-e-darban nahin kertay

Har ek lamha naya ik imtehan hai,
bohut na-meharban yeh aasman hai,
Dilon per barf girti ja rahi hai,
Badan ka tajziya bhi raiga hai,

main us say baat karna chahti hon,
batao to sahi woh ab kahan hai,

Anaa ki rait shamil ho gayai hai,
Hawa say guftugu ab raigan hai,

Mujhey is ka yaqeen hargiz nahi tha,
Meri janib say itna badguman hai…

usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia,
kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia,
Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay, naya naam hai,
Woh chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gia woh guzar gia,

Koi ayai ga koi jayai ga, koi jayai ga koi ayai ga,
Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia,

Teray paas tera habai hay, jo nahin mila woh naseeb hay,
Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gaia woh guzar gia,

Mujhey pat jharon ki kahanian na suna suna kay udaas ker,
Nayai mausamon ka pata bata, jo guzar gia wo guzar gia,

Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay,
Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia

Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin
magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin
har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan
kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin

wo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin
qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahin

ham apane is mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake
kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahin

hai shor-saa taraf taraf ki sarahadon kii jang mein
zamii.n pe aadamii nahii.n falak pe kyaa Khudaa nahin

AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain
Dard Seene Main Chupa Lete Hain
Dil Ki Mehfil Main Ujaalon K Liye
Yaad Ki Shama Jala Lete Hain

Jalte Mausum Main Bhe Ye Deewane
Kuch Haseen Phool Khila Lete Hain

Apni Aankhon Ko Bana Ker Ye Zubaan
Kitne Afsane Suna Lete Hain

Jin Ko Jeena Hai Mohabbat K Liye
Apni Hasti Ko Mita Lete Hain

AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain
Dard Seene Main Chupa Lete Hain

Ussay Keh Dou Kay Woh Mujh Ko Ronay Say Mat Rokay…..
Bikhray Huwoon Ko Toofan Sanbhala Nahi Kartay…
Ab Mehar Banion Ki Tumhari Tamana Nahi Humko…..
Barastay Huway Baadil Kabhi Ujala Nahi Kartay…..

Mat Qareeb Aao Meray Mujhe Bas Younhi Rehnay Dou…
Tootay Huway Paimanay Mein Jaam Dala Nahi Kartay……

Mat Sunao Logoon Ko Meri Barbaadi Ka Qissa…
Kissi Kay Dil Kay Zakhmoon Ko Younh Uchala Nahi Kartay



1   2      4

Gazal SMS 3

1   2      4

Ye dard mit gaya to phir?
Ye zakhm sil gaya to phir…?
Bichhar kar sochta hoon main,
Wo phir se mil gaya to phir…?
Main titliyon k shehar mein,
Rahoon to mujh ko fiker hai…
Wo phool jo khila nahi,
Wo phool khil gaya to phir…?

Tujhe bhi kuch nahi mila,
Mujhe bhi kuch nahi mila…
Tamam umer k liye,
Ye dard mil gaya to phir…?

Main is liye to aaj tak,
Sawal bhi na kar sake…
Agar mere sawal ka,
Jawab mil gaya to phir…?

Kab kaun kisi ka hota hai
Sub jhootey rishtey naate hain…
Sub dil rakhney ki batein hain
Sub asal roop chhupate hain…

Ikhlaq se khali log yahan
Lafzon ke teer chalate hain…

I baar nigahon mein aakar
Phir saari umar rulate hain…

Who jis NE diye hain ashk humein
AB us ko bhool hi jaate hain…

In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho
is jheel kinaray pal do pal
ik khawab ka neela phool khilay
wo phol baha dain lehroon main
ik rooz kabhi hum sham dhalay
is phol k behtay rangoon main
jis waqt larazta chand chalay
us waqt kahin un aankhoon main is basray pal ki yaad to ho

In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho
phir chahay omer samander ki
her maoj parayshan ho jaye
phir chahay aankh darechay say
her khawab gurayzaan ho jaye
phir chahay phool k chehray ka
her dard nomayan ho jaye
is jheel kinaray pal do pal wo roop nagar eejad to ho
din raat k is aaeynay say wo aks kabhi aazad to ho
In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho

Koi titli hamarey paas aati bhi, to kia aati,
Yun ghut-ghut k mar jana, hamain manzoor tha laikin,
Kisi kam-zarf per zahir na ki majbooriyan hum nay,

Hum is mehmil main bus ek baar sach bolay thay,
Zabaan per umer bhar mehsoos ki chingariyon ham nay,

Samajhtay thay magar phir bhi na rakhi dooriyan humne,
Chiraghoon ko jalanay main jala ‘ li ungliyan hum nay…

Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye
Javani Peh Roye
Na Socha Na Samajha, Na Dekha Na Bhala
Teri Aarzoo Ne, Hume Mar Dala
Tere Pyar Ki Meherbani Peh Roye
Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye

Javani Peh Roye
Khabar Kya Thi Honto Ko Seena Padega
Mohabbat Chupa Kar Bhi, Jeena Padega
Jiye To Magar Zindagani Pe Roye

Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye

Tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi
Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser
Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi

Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene
MeMoN Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi

Ziker Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein
Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi

Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe
Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi

Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin MeMoN
Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi

Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan
Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi

Azeem Hai Yeh Qurbat Ki Doooriyaan
Sath Reh Ker Bhi Usko Na Pana Kesa Lagta Hai
Kismat Main Nahin Phir Bhi Us Ko Chate Hai
Yun Samjh Ker Kanto Per Chalna Kesa Lagta Hai

Ab To Mehfil Main Bhi Humare Liye Tanhaye Hai
Ghum Chupa Ker Mehfil Ko Sajana Kesa Lagta Hai

Samjhne Per Bhi Samjhata Nahin Hai Dil
Uski Yaad Main Raato Ko Jaagna Kesa Lagta Hai

Us Ki Berukhi Ne Itne Diye Hai Ghum
Zakham Chupa Ker Bhi Muskarana Kesa Lagta Hai

Isse Kho Ker Mere Pass Rha Kuch Bhi Nahin
Phir Bhi Khudh Ko Ameer Batana Kesa Lagta Hai

Khudh Ko Anmol Samjhne Ka Tha Bara Ghamand
Phir Bhi Bemool Bik Jana Kesa Lagta Hai

Kahayei Hai Dhoke Mohabaat Main Itne Ke
Phir Bhi Us Ko Cahana Kesa Lagta Hai

Maloom Hai Memon Teri Manzil Nahin Hai Koi
Phir Bhi Safer Kerte Rhena Kesa Lagta Hai

Anmol To Aah Ker Bhi Ja Chuke Hai Kab Ke
Phir Bhi Us Ka Intizar Kerna Kesa Lagta Hai

Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal,
is chaman mein ab apna guzara nahin.
baat hoti gulon tak to sehlete hum,
ab to kaaton pe bhi haq hamara nahin.

jab gulistan ko khoon ki zarorat padi
sab se pehle hamari hee gardan katee,
phir bhi kehte hain humse ye ahle chaman
ye hamara chaman hai tumhara nahin.

aaj aaye ho aur kal chale jaoge
yeh muhabbat ko meri gawara nahin,

umr bhar kaa sahara bano to bano
chaar din kaa sahara sahara nahin

Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra…
Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra…
Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela…
Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra…

Mujhe ye chandni raatein buhut bekaaif lagti hain…
Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra…

Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta…
Mujhe madhosh karta hai tumhara chand sa chehra…

Meri basti se shayad iss liyay tum door rehte ho…
Gehan lagne se darta hai tumhara chand sa chehra…

Tawaja kis qadar dene laga hun aaj kal khud per…
Mere charoun taraf jab siyah raat aati hai…

To phir mujh mein uterta hai tumhara chand sa chehra…
Mere se yun hi TUM apni dosti rakhna…
Andhere main nikharta hai tumhara chand sa chehra…

Kaha tha tum say…mera intezaar na karna
dunya chahey jo kahey tum aitebar na karna
Aisa ho chuka hai kayee bar pehlay bhi
ab ki bar tum koi bhi sawal na karna

Din raat kat rahey hein ab to ussi k khyal mein
wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna

Zindagi tanha hi sahi..kat rahi hai ab tak
kis nay keh diya tha mohabbat ka izhaar na karna

Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena
Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena
Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To
Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena

Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab
Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena

Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain
Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena

Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey
Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena

Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon
Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena

pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen
kaisaa baadal hai jisakaa ko_ii saayaa bhii naheen
beruKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii naheen

roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii naheen

sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii naheen

tum to shaayar ho ‘Qateel’ aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii naheen

Manoos Kar Chkuey Hein Ye Diwar-o-Dar Mujhey
Zindaan Ke Baad Raas Na Ayega Ghar Muhjey
Umeed-e-Zindagi Nahee Aye Charah-Gar Mujhey
Shaam Hogayee Tou Phir Na Hogi Sehar Mujhey

Mein Ek Mata’a-e-Eshq Houn, Khhoya Agar Mujhey
Shayed Na Pa Sakoge Kaheen Umar Bhar Mujhey

Kiya Jeetay Ji Umeed-e-Rahayee Se Wasta
Dhoka Na Dein Qafas Mein Merey Baal-o-Par Mujhey

Dou Jan-ba-Lab Mareez Hein, Ek Marg-e-Muntazir
Mein Uss Ko Dekhhta Houn Charagh-e-Sehar Mujhey

Tang Aake Chordta Houn Dunya Ko Aap He
Duyna Ghareeb Chord Ke Jaati Kidhar Mujhey

Aayena Ban Raha Houn Kisi Ke Jamal Ka
Kuch Sochtey Hein Dekh Ke Ahl-e-Nazar Mujhey

Ma’adoom Ho Chuka Ye Ehsaa-e-Zindagi
Chahein Tou Zehar De Dein Merey Charah-Gar Mujhey

Jeeney Ki Hey Salaah, Ke Marney Ki Eshq Mein
Dil Se Ye Poochna Hey Kahein Baythh Kar Mujhey


a kar� � r d � � ey jo kahey tum aitebar na karnaAisa ho chuka hai kayee bar pehlay bhi
ab ki bar tum koi bhi sawal na karna

Din raat kat rahey hein ab to ussi k khyal mein
wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna

Zindagi tanha hi sahi..kat rahi hai ab tak
kis nay keh diya tha mohabbat ka izhaar na karna







Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena
Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena
Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To
Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena

Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab
Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena

Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain
Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena

Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey
Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena

Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon
Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena









pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen
kaisaa baadal hai jisakaa ko_ii saayaa bhii naheen
beruKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii naheen

roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii naheen

sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii naheen

tum to shaayar ho ‘Qateel’ aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii naheen









Manoos Kar Chkuey Hein Ye Diwar-o-Dar Mujhey
Zindaan Ke Baad Raas Na Ayega Ghar Muhjey
Umeed-e-Zindagi Nahee Aye Charah-Gar Mujhey
Shaam Hogayee Tou Phir Na Hogi Sehar Mujhey

Mein Ek Mata’a-e-Eshq Houn, Khhoya Agar Mujhey
Shayed Na Pa Sakoge Kaheen Umar Bhar Mujhey

Kiya Jeetay Ji Umeed-e-Rahayee Se Wasta
Dhoka Na Dein Qafas Mein Merey Baal-o-Par Mujhey

Dou Jan-ba-Lab Mareez Hein, Ek Marg-e-Muntazir
Mein Uss Ko Dekhhta Houn Charagh-e-Sehar Mujhey

Tang Aake Chordta Houn Dunya Ko Aap He
Duyna Ghareeb Chord Ke Jaati Kidhar Mujhey

Aayena Ban Raha Houn Kisi Ke Jamal Ka
Kuch Sochtey Hein Dekh Ke Ahl-e-Nazar Mujhey

Ma’adoom Ho Chuka Ye Ehsaa-e-Zindagi
Chahein Tou Zehar De Dein Merey Charah-Gar Mujhey

Jeeney Ki Hey Salaah, Ke Marney Ki Eshq Mein
Dil Se Ye Poochna Hey Kahein Baythh Kar Mujhey





1   2      4

Gazal SMS 2

1   2      4

yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaar hota …
ager or jeete rehte tu yehi intazar hota
kahoon kiss se main k kia hai …
shab-e-ghum bori bala hai
mujhe kia bora tha marna ..
ager aek baar hota

yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaa hota ..
koei mere dil se poche
tere teer neem kash ko
yeh khalish kahan se hoti ..
ju jiger k paar hota
tere wade per jiye hum..
tu yeh jaan jhot jana ..
k khoshi se mar na jate ager etbaar hota ..

yeh na thi humri kissmat k wisaal-e- yaar hota
yeh kahan ki dosti hai ..
k bane hain dost saqi ..
koi chehra saaz hota ..

tu yeh na ghumm saath hota
Submitted By: Moderator
Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga
Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga

Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga

Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey

Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi

Aur na Pa ke Mujhey
Aap hi Aap Mujh sey Roth ti Ho gi
Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera

Tawelein Ghurr ke khud hi Behal ti Ho gi
Tanha Sard Raat Mein

Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey
Khyaalon hi Khyaalon Mein

Haath us ney Mera Thama Ho ga
Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar
Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga
jane kiun woh sansoo ki dor totne nahi deta
bas qadam aur chalne kawasta dekar mujhe rokne nahi deta
bat kehta hai woh mujh se hans hans kar je lene ki
ajeeb shakhs hai mujh ko chain se rone nahi deta
ajj hosla deta hai mujhe chand sitaron ko cho lene ka
woh piar se chehra mujhe toot kar bikharne nahi deta
shayad janta hai woh bhi in ankhon main ansuon ka sailab hai
jane kiun phir bhi woh in ansoun ko girne nahi deta
mujh se kehta hai main to mar jaon ga tumhare bina
main zinda hon ab tak woh mujhe marne nahi deta
Submitted By: Moderator
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya
Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya
Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya
Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya
Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya
Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya
Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya
Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya
Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya
Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya
Submitted By: Moderator
Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey
bahoun mein apni sama lou mujhey
Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin
Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey
Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey
Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey
Meri sab say gehri khuwahish hou puri
Tum agar pass apnay bula lou mujhey
Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai
Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey
Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani
Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey
Submitted By: Moderator
kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch
wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi
kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch
waqat jo badley to insaan badal jaatey hain
kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch
wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui
kis tarhan usney chudaya hai mujh se haath na pooch
Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch
ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch
Submitted By: Moderator
aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina,
Yaad karna bhi usey roo, bhula bhi daina,
Kia kahon yeh meri chahat hai k nafrat is ki,
Naam likhna bhi maira, likh k mita bhi daina,
Phir na milnay ko bicharta hon tuj say laikin,
Murr k daikhon to palatnay ki dua bhi karna,
Khat bhi likhna usay, mayoos bhi rahna us say,
Jurm karna bhi magar khud ko saza bhi daina,
Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawara laikin,
Jee main ayai to yeh diwar gira bhi daina,
Soorat-e-naqsh-e-qadatm, dasht main rehna,
Apnay honay say na honay ka pata bhi dain
Submitted By: Moderator
Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne,
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana,
Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Armaan mere raiza raiza hogaye hain,
Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga,
Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne,
Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko,
Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne,
Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha
Us ko bhi tarpaya hai kisi ne,
Submitted By: Moderator
Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey
Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey
Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey
Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne
Apney askhon ko palkon pe sitara karkey
Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka
Aur kuch roz tere saath guzara karkey
Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi
Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey
Submitted By: Moderator
Wafa ruswa nahi karna…
Suno aisa nahi karna
Mai pehle hi akela hu
Muje tanha nhi karna,
Judai aa b jaye to
Ye dil chota nhi karna
Bohat musroof ho jana
Muje socha nhi karna,
Barosa b zarori hai
Magar sub ka nhi karna
Muqadar to muqadar hai
kabi shikwa nahi karna
Meri takmeel tum se hai
muje adha ni karna
suno asa soocha nahi kerna.
Submitted By: Moderator
Saath chalne main jo maza hota
Woh humain bhi kabhi mila hota
Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
Saath apne koi chala hota
Hum bhatakte rahe the raahon mein
koi rasta pata chala hota
Thaam leta humain bhi barh ke koi
Haath hum ko koi mila hota
Hum ulajhte nahi zamane se
Ek jo Humsafar mera hota
Hum na thakte safar mein gar
Saath apne koi chala hota
Submitted By: Moderator
Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega
Terey merey darmiyaan bas ek khalaa reh jaayega
Aks beh jaayenge saarey dhoop ke sailaab mein
Aur koye paaniyoun mein jhaankta reh jaayega
Mujhko merey humsafar, aisa safar darpesh hai
Raasta kat bhi gaya tou faasila reh jaayega
Laug so jaayenge khaamushi ki chadar odh ker
Chaand sooney aanganoun mein jaagta reh jaayega
Submitted By: Moderator
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai
yeh aasmaan, yeh badaal, yeh raste, yeh hawaa
har aik cheez hai apni jagha thikane pe
kaii dino se shikayat nahi zamane se
Yeh zindagi hai safar, tu safar ki manzil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
tere bagair jahaan main koi kami si thi
bhatak rahi thi jawani andheri raahoon main
sukoon dil ko mila aa k teri baahoon main
main aik koi hui mouj hoon, tu sahil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
tere jamaal se roshan hai kainaat meri
meri talash teri dilkashi rahe baki
khuda kare k yeh deewangi rahe baki
teri wafaa hi meri har khushi ka hasil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai



1   2      4

Gazal SMS 1







Gazal SMS


1   2      4

toot jaye na bharam hont hilaon kaisay
hal jesa b ha logo ko sunao kaisay
 
khushk aankho say b ashkon ki mehak ati ha
mai teray gham ko zamanay say chupao kaisay
 
tu he bata meri yadon ko bhulanay walay
mai teri yaad ko dil say bhulao kaisay






Ghazal SMS
Ajeeb Waqiya Hai Ek Azeez Dost
Apnay Mufaad Per Mujhay Qurban Kar Gaya
Kitni Sudhar Gayi Thi Judayi Mein Zindagi
Haan Woh Jafa Se Mujh Pe Aehsan Kar Gaya
Main Baat Baat Per Kehti Thi Jis Ko Jaan
Aakhir Wohi Shakhs Mujh Ko Be Jaan Kar Gaya





Ghazal SMS
Muddat Ke Baad Dekha Use Badla Hua Tha WOh
Najane Kiya Hadsa Hua Sehma Hua Tha WOh
Mujhe Dekh Kar Usne Chehra TO Chupa Lyia
MGR Ankhein Bata Rahi Thi Ke ROOYA Hua Tha WOh
Uski AankhOn Mein Dekh Kar MEHSOOS Hua Mujhe
Meri Tarha Kisi SOOCh Mein DOOBA Hua Tha WOh
Uski SOne Jaisi RANGAT Zarad Parh Gayi Thi
Jese Kisi Ke Pyaar Mein Jalla Hua Tha WOh





Ghazal SMS
Din tehar jay,magar raat katye
koi surat ho k barsat katye
khusbuien muj ko kalam karti gayien
shakh_dar_shakh mery haat katye
mojy gul ha k talwar koi
harf kyon apny ganwayien ja kar
baat sy phly jahan baat katye
chand!aa mil k manayien ye shab
aaj ki raat tery saat katye
pury insanoo mein guhs ay han
sar katye, jisham katye,zaat katye





Ghazal SMS
Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho,
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho,

Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho...





Ghazal SMS
Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga
Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga
Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga





Ghazal SMS
Zara dehan rakh lena meri pehli mohabat hai
Wafa ka maan rakh lena meri pehli mohabat hai
Kahan is umar mein hum bhais badlen ge faqeeron ka
Milan asaan rakh lena meri pehli mohabat hai
Judai k dino me log chahry bhol jate hen
Meri pechan rakh lena meri pehli mahabat hai





Ghazal SMS
Ajeeb hotay hain aadab-e-Rukhst-e-mehfil
Uth k vo b
Gaya jis ka koi ghr na thaa





Ghazal SMS
Naram Naram Phoolon Ka Ras Nichorr Leti Hen
Pathar K Dil Hoty Hen Tiltyon K Seenay Men





Ghazal SMS
Juda hone ka andesha’ juda hone se pehle tha
Wo mujh se intehai khush khafa hone se pehle tha

Junoon ka doar guzra to mujhe b bhool betha wo
Namaz-e-ishq tha lekin qaza hone se pehle tha





Ghazal SMS
Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai
Hamaray lab jinhe chu le wo pathar bol utte

Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia
Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe





Ghazal SMS
Saarey waadon ko bhula sakta hun
lekin rehne do
 

Main tumhein chor k ja sakta hun
lekin rehne do

Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz
faisla mein bhi suna sakti hun
lekin rehne do
 

Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali
us per main muskura b sakta hun
lekin rehne do





Ghazal SMS
kabi chaho ge to chahat se bulain ge tumhy 
dard-e-dil kia hota ha dekhain ge tumhy
 
mouhabat hoti ha kia kar k dekh lena
phir mary pas ana kuch or batian ge tumhy kabi na ay ankh me anso to asa karna
 
ek sham mary pas ana bohat rulain ge tumhy





Ghazal SMS
Zaat ban k meri zaat mein raha karta he 
Ik shaks hay jo muj mein basa karta hay
Mere chehray mein nazar aata he chehra us ka
Uska tabasum mere honton pe khila karta hay
Meray lafzon se ada hoti hen batain uski
Meray lehjay se garoor us ka chalakta rehta hay





Ghazal SMS
Din tehar jay,magar raat katye
koi surat ho k barsat katye
khusbuien muj ko kalam karti gayien
shakh_dar_shakh mery haat katye
mojy gul ha k talwar koi
harf kyon apny ganwayien ja kar
baat sy phly jahan baat katye
chand!aa mil k manayien ye shab
aaj ki raat tery saat katye
pury insanoo mein guhs ay han
sar katye, jisham katye,zaat katye





Ghazal SMS
ajab si halchal hoti hai jab yaad tumhari ati hai
dil betab sa hota ha jab yaad tumhari ati hai
barish ki har bund tezab ci lagti hai
suraj ki har kiran aag si lagti hai
ajab si hachal hoti ha jab yaad tumhari ati hai





Ghazal SMS
Yaad teri jab bhi aai wafa roti rahi
aankh se barsa wo baadal k intaha hoti rahi
Kal najanay kya sitam tuta teri yaad aanay k baad
Raat bhr galiyon mein kiun pagal hawa roti rahi
Tere milne ki dua k liay jab bhi haath uthaaye main ne
 
Meri is masoom khwahish pe najanay kiun duaa roti rahi





Ghazal SMS
Hum Sabi Khawab Churatey Teri Aankhon Se Magar
Teri Palkon Ko Khabar_Daar Na Honey Detay
Hum Sabhi Rung Churatey Tery Chehrey Se Magar
Be_Asar Tery Lab_o Rukhsar Na Honey Detey
Tujh Se Miltay Teri Saanson Se Mila Kr Saansein
Ek Bi Saans
Gunaah-Gaar Na Honey Detey





"(SHAM-e-GHAZAL)"

kya khabar thi tum achanak he juda ho jao ge
kabhi mujh par marte thay kisi or pe fida ho jao ge
ek toujhe he to chaha tha apni zaat se barh kar
ye socha b nahi k mere liye saza ho jao ge
may nahi pochon ga tm se kabi mujhe chorne ka sabab
mere pochne par tum shayad mujh se khafa ho jao ge






Ghazal SMS
Junoon guzidah tha dil, kitna be khbr nikla
Raqib mjh se zyadah shiksta par nikla
Woh jin k dosh pe bhaari thy sar, hain sar-ba-sujood
Nhi jo zeenat e shana, woh mera sar nikla


1   2      4